bhule bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main

bhule bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main
bhule bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main 



بھولے بسرے موسموں کے درمیاں رہتا ہوں میں

اب جہاں کوئی نہیں رہتا ہوں میں

دن ڈھلے کرتا ہوں بوڑھی ہڈیوں سے ساز باز

جب تلک شب ڈھل نہیں جاتی جواں رہتا ہوں میں

کیا خبر ان کو بھی آتا ہو کبھی میرا خیال

کن ملالوں میں ہوں کیسا ہوں کہاں رہتا ہوں میں

جگمگاتے جاگتے شہروں میں رہتا ہوں ملول

سوئی سوئی بستیوں میں شادماں رہتا ہوں میں

بوتا رہتا ہوں ہوا میں گم شدہ نغموں کے بیج

وہ سمجھتے ہیں کہ مصروف فغاں رہتا ہوں میں



bhule bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main 

(Ahmed Mushtaq)

bhule-bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main
ab jahan koi nahin wahan rahta hun main

din dhale karta hun budhi haddiyon se saz-baz
jab talak shab dhal nahin jati jawan rahta hun main

kya khabar un ko bhi aata ho kabhi mera khayal
kin malalon mein hun kaisa hun kahan rahta hun main

jagmagate jagte shahron mein rahta hun malul
soi soi bastiyon mein shadman rahta hun main

bota rahta hun hawa mein gum-shuda naghmon ke bij
wo samajhte hain ki masruf-e-fughan rahta hun main

.........................

Post a Comment

Previous Post Next Post