Mohsin Naqvi Poetry (55 best poetry)

Mohsin Naqvi Poetry (55 best poetry)

Mohsin Naqvi Poetry


Mohsin Naqvi Poetry In Urdu



1)

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena



Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena?
Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

2)

Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”


Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai
Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai
Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai
Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai
Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai
Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai
3)

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do
Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do
Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do
Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do
Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do
Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!

4)

Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind
Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind
Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind
Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind
Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

5)

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi


Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

6)

Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”


Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla
Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla

7)

Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun
Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun
Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun
Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun
Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun
Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun

8)

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha
Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha
Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha
Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

9)

Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki
Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki
Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki
Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki

10)
Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha
Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha
Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha
Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha
Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!

11)
Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,
Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai,
Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,
Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim,
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,
Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,
Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,
Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher,
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,
Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..

12)
Apne aap se phirtey hain beganey kyon,
Sheher mein aakar log huye deewaney kyon,
Hum ne kab maani thi baat zamaney ki,
Aaj hamari baat zamana maaney kyon,
Woh jungle ke phoolon per kyon marta hai,
Us ko achey lagte hain veeraney kyon,
Sachi baat se ghabraney ki aadat kya,
Jhootey logon se apne yaraaney kyon,
Halwat* mein jo aankh milatey darta ho,
Mailey mein woh shakhss humain pehchaney kyon,
Mohsin jab bhi chott neyi kha leta hoon,
Dil ko yaad atey hain yaar puraney kyon…

13)
Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha
Umer Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha
Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay
Magar Mein Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha
Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha
Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha
Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay
Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha
Umer Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha
Mein Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha
Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko “Mohsin”
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha
14)

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo

Mohsin Naqvi Poetry

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Phir Ehtmaam-e-Daar-O-Rasan Dekhtay Chalo
Dilchasp Waqea Hai Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarro’n Ka Jal Raha Hai Badan Dekhtay Chalo
Tanqeed Mat Karo Ke Zamana Kharab Hai
Chup Chaap Dosto’n Ka Chalan Dekhtay Chalo
“Mohsin” Shab-e-Siyaah Bhi Orhay Huay Hain Aaj
Shaffaaf Chandni Ka Kafan Dekhtay Chalo

15)

Junoon Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha

Mohsin Naqvi Poetry

Junoon Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha,
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha…
Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se,,
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha..
Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre,,
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha..
Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay,,
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha..
Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin..!!
Sakoon Se, So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha…!!
16)

Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay

Mohsin Naqvi Poetry

Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?
Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay
Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay
Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay
Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay
17)

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila

Mohsin Naqvi Poetry

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila
Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor
Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila
Mein Os Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila
Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila
Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya “Mohsin”
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila
18)

Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain

Mohsin Naqvi Poetry

Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
Tumhaari Aankh Ka Ehwaal, Khwaab Poochtay Hain
Kahan Kahan Howay Roshan Hamaray Baad Charaagh ?
Sitaaray Deeda-e-Tar Se Hisaab Poochtay Hain
Wo Tashna Lab Bhi Ajab Hain Jo Mouj-e-Sehra Se
Suraagh-e-Habs, Mizaaj-e-Saraab Poochtay Hain
Kahan Basi Hain Wo Yaadain, Ujaarna Hai Jinhain ?
Dilon Ki Baanjh Zamee.n Se Azaab Poochtay Hain
Baras Padi Teri Aankhain Tou Phir Ye Bhaid Khula
Sawaal Khud Se Bhi Apna Jawaab Poochtay Hain
Hawa Ki Hamsafri Se Ab Aur Kia Haasil ?
Bas Apne Sheher Ko Khaana Kharaab Poochtay Hain
Jo Be-Niaaz Hain Khud Apne Husn Se “Mohsin”
Kahan Wo Mujh Se Mera Intekhaab Poochtay Hain
19)

Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay Osko

Mohsin Naqvi Poetry

Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay Osko
Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay Osko
Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar-e-Khushbuu Se
Misaal-e-Rang Hawaaon Mein Gholtay Osko
Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa-e-Subah Ke Saath
Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay Osko
Wo Ashk Tha Ose Aankhon Mein Dafan Hona Tha
Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay Osko
Wo Be-Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta
Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay Osko
Kisi Ki Aankh Se “Mohsin” Zaroor Peeta Hai
Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay Osko
20)

Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta

Mohsin Naqvi Poetry

Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta
Bicharay Tou Ajab Pyaar Jatata Hai Khaton Mein
Mil Jaye Tou Phir Had Se Guzarne Nahi Deta
Wo Shaks Khizan Rut Mein Bhi Mohtaat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Phoolon Ko Bikharne Nahi Deta
Ik Roz Teri Pyaas Khariday Ga Wo Ghabro !
Pani Tujhe Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta
Wo Dil Mein Tabassam Ki Kiran Gholne Wala
Roothay Tou Ruton Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta
Mein Us Ko Manaon K Gham-e-Dehar Se Uljhon ?
“Mohsin” Wo Koi Kaam Bhi Karne Nahi Deta
21)

Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye

Mohsin Naqvi Poetry

Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye
Zara Siii Dair Ko Hangama-e-Mahfel Tehar Jaaye
Shab-e-Maqtal Ka Sanaata Gawahi Dey Na Dey Apni
Laho Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qaatil Tehar Jaaye
Tabiyat Toot Kar Chahye Talaatum Ashiana Hona
Mager Tashna Labi Ki Zid Ser – e – Saahil Tehar Jaaye
Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
Woh Ek Lamha k Apni Umr Ka Haasil Tehar Jaaye
Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paa’yiii
Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Tehar Jaaye
Koi Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye
Kisi Awaz Per To Be Sada Saayel Tehar Jaaye
Kahaa K QAIS Tay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai
K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Tehar Jaaye
Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hat’ta Nahi MOHSIN
K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kaamil Tehar Jaaye
22)

Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo

Mohsin Naqvi Poetry

Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,
Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,
Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo.
23)

Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha

Mohsin Naqvi Poetry

Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!
Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha..!!
Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal..!!
Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha ..!!
Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya..!!
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!!
Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi ..!!
Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha..!!
Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!!
Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha..!!!
24)

Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog

Mohsin Naqvi Poetry

Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog?
Naik Nigahon, Sache Jazbon Ki Saugaaton Waalay Loog
Pyaas Ke Sehraaon Mein Dhoop Pehen Kar Paltay Banjaaro…!
Palkon Oat Talaash Karo, Bojhal Barsaaton Waalay Loog
Waqt Ki Urrti Dhool Mein Apne Naqsh Ganwae Phirte Hain,
Rim Jhim Subhon, Roshan Shaamon,Resham Raaton Waalay Loog
Aik Bhikaarun Dhoond Rahi Thi Raat Ko Jhoote Chehron Mein,
Ujle Lafzon, Sachi Baaton Ki Khairaaton Waalay Loog
Aane Waali Rog Ruton Ka Pursa Dain Har Larki Ko…!
Shehnaai Ka Dard Samajh Lein Gar Baaraton Waalay Loog
Pathar Kootne Waalon Ko Bhi Sheeshe Jaisi Saans Milay !!
“Mohsin” Roz Duaaen Maangain Zakhmi Haathon Waalay Loog
25)

Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon

Mohsin Naqvi Poetry

Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon
Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon,
Mujhe Tune Aisi Nighaah se Dekha
K Mai Ek Pal Mein Bari Ho Gayi Hoon,
Sar-e-Shaam Aane ka Hai Us ka Wada
Mai Subah Se Darr Par Khari Ho Gayi Hoon,
Na Churwa sakoge kabi Haath Apna
Mohabbat Bhari Hath-Kari Ho Gayi Hoon,
Boht Door hai Mujh se Khushyon ka Mosam
Musalsal Ghamon ki Jhari Ho Gayi Hoon,
Juda kar Na Payega Ab koi “MOHSIN”
Wo Khushbu hai, Mai Pankhri Ho Gayi Hoon.
26)

Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey

Mohsin Naqvi Poetry

Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey,
Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagey,
Na Janey Kab Meri Dunya Mai Muskuraaye Ga,
Wo Aik Shakhs,,, Jo Khawabon Mai Bhi Khafaa Sa Lagey,
Ajab Cheez Hai Yaaron Ye Manzilon Ki Hawas,
Ke Raahzan Bhi Musafir Ko Raahnuma Sa Lagey,
Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya Ke Mujhe,
Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lagey,
Hoi Hai Jis Se Munnawar,, Her Ek Aankh Ki Jheel,
Wo Chaand Aaj Bhi ,,Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey



27)

Itna khali tou ghar nahi, hum hain

Mohsin Naqvi Poetry

Itna khali tou ghar nahi, hum hain!
Hum nahi hain magar nahi, hum hain!!
Chasm-e-dushman ke khauf se pocho
Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain
Sham-e-tanhai gham na kar k tera
Koi bhi humsafar nahi, hum hain
Chand se keh do, be dharak utre
Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain
Woh jo sab se hain be khaber, tum ho
Jin ko apni khaber nahi, hum hain
Kyun jalate ho jhonpri apni?
Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain
Hum hain humzaad, raat ke Mohsin
Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain
28)

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak

Mohsin Naqvi Poetry

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,
Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,
Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,
Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,
Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak…….!!
29)

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai

Mohsin Naqvi Poetry

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
Mujh Ko Mere Hee Khayaalon Mein Sadaa Deta Hai
Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Laikin
Jub Bhi Milta Hai Tou Pehluu Mein Jagaa Deta Hai
Mein Jo Andar Se Kubhi Toot Ke Bikhruun
Wo Mujh Ko Thaamnay Ke Lye Haath Barha Deta Hai
Mein Jo Tanha Kubhi Chupkay Se Bhi Rona Chaahun
Tou Dil Ke Darwaazay Ki Zanjeer Hila Deta Hai
Os Ki Qurbat Mein Hai Kia Baat Na Jaanay “Mohsin”
Ek Lamhay Ke Lye Sadyon Ko Bhula Deta Hai
30)

Jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai

Mohsin Naqvi Poetry

Jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai
Zakham Tumhare Hijar Ka Bharta Jata Hai
Kankar Pehnkne Walon Ko Kuch Ilm Nhi
Pani Main Ik Aks Bikharta Jata Hai
Dil Ki Gurbat Saray Ghar Main Phel Gai
Tasveeron Se Rang Utarta Jata Hai
Bujhti Ankh K Sa’aye Phalty Jaty Hain
Sham Ka Manzar Or Nikharta Jata Hai”Mohsin”
Is Ne Dil Ka Shaher Ujar Diya
Main Smjhta Tha Bakht Sawanarta Jata Hai……!!
31)

Ye Ronaqaein Ye Loog Ye Ghar chor Jaon Ga

Mohsin Naqvi Poetry

Ye Ronaqaein Ye Loog Ye Ghar chor Jaon Ga
Ik din Mein roshni ka Nagar chor jaon Ga
Marnay Say Payshtar Meri Awaz Mut Chura
Mein Apni Jaidaad Idhar Chor Jaon Ga
Qatil Mera Nishaan Mitaanay pay Hay Baazidd….
Mein Bhi Sinaa’n Ki Nooq Pay Sir Chor Jaoon Ga
Tu Nay Mujhay Chiragh Samajh kar Bujha diya
Laykin Tery Liyay Mein Sehar Chor Jaoon Ga
Aa’inda Nasal Mujh Ko Parhay gi Ghazal Ghazal
Mein Harf Harf Apna Hunar Chor Jaoon Ga..
Tum Apnay Aabloo’n Ko Bachatay Ho Kis LIyay ?
Mein to Safar Mein Rakht-e-Safar Chor Jaoon Ga
Mein Apnay Doobnay Ki Alaamat Kay toor par!
Darya Mein Aik Aadh Bhanwar Chor Jaoon Ga
Lashkar Karain Gay Meri Dalayri Pay Tabsaray
Mar Kar Bhi Zindagi Ki Khabar Chor Jaoon Ga
“Mohsin” Mein Us Kay Zakhm Khareedoon Ga Aik Din
Aur Us K Paas La’al-o-Gohar Chor Jaoon Ga
32)

Jaag utha hai dil mein puraney dinon ka dard

Mohsin Naqvi Poetry

Phir jaag utha hai dil mein puraney dinon ka dard,
Jee chahta hai ke phir koi taaaza ghazal likhoon..
33)

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay

Mohsin Naqvi Poetry

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay..!!
Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay…!!
Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
Hum Terii Baat Kiya Kartey Thay ..!!
Sach Samajhtey Thay Teray Wadoon Ko..!!
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay…!!
Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!!
Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!!
Woh Bhi Kia Din Thay Bhulaa Kar Tujhko..!!
Hum Tujhey Yaad Kiya Kartey Thay..!!
Jab Teray Dard mein Dil Dukhta Tha…!!
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay…!!
Bujhnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!!
Apnay Jazboon Ki Kamandon Say Tujey..!!
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!!
Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!!
Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay..!!
Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
Hum Sukh’noor Bhi Howa Kartey Thay…!!
34)

So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon

Mohsin Naqvi Poetry

So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon
Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon,
Har Shaks Mein DHoondta Hoon Khud Ko
Shayad Mein Kisi Mein Kho Giya Hoon,
Ab Teraa Wisaal Raiegaan Hai
Main Kab Ka Udaas Ho Chuka Hoon,
Andha Hoon Pkar Le Haath Mera
Ay Hijar Ki Shab Mein Be Asaa Hoon,
Khush Ho Ay Bulandiyon Ki Khawahish
Main Nok-e-Sinaa Pe Saj Giya Hoon,
Dariya Ko Shikast Di Hai Maine
Mashkeeze Mein Piyas Bhar Raha Hoon,
Karta Hai Qabool Kon Mujh Ko
Kat`te Howe Haath Ki Dua Hoon,
Sach Yeh Hai Kay Ajnabi Hoon Khud Se
Kehne Ko Main Sab Se Ashnaa Hoon,
Uljha Hoo Yeh Soch Kar Hawaa Se
Main Shaher Ka Akhri Diya Hoon,
Din Bhar Ki Tapish Mein Kon Jhulse
Main Shab Ko Badan Pe Aurhta Hoon,
“Mohsin” Mujhe Khud Pe Naz Tha Kaisa ?
Main Yoon Bhi Misaal-e-Naqash-e-Paa Hoon.
35)

Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum..

Mohsin Naqvi Poetry

Is zindagi mein itni faraghat kisey naseeb,
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum..
36)

Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega

Mohsin Naqvi Poetry

Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega
Yeh Teer Bhi Paywast-e-Rag-e-Jaan Mein Rahega,
Ek Rasm-e-Januu Apne Muqaddar Mein Rahegi
Ek Chaak Sadaa Apne Girebaan Mein Rahega,
Ek Ashk Hai Aankhon Mein So Chamkega Kahaan Tak?
Yeh Chaand Zad-e-Shaam-e-Ghareebaan Mein Rahega,
Main TUjh Se Bechar kar Bhi Kahaan Tujh Se Juda Hoon
Tu Khawaab Sifat Deeda-e-Giryaan Mein Rahega,
Rangon Ki Koi Rut Teri Khushbu Nahi Laaie
Yeh Daagh Bhi Damaan-e-Baharaan Mein Rahega,
Ab Kay Bhi Guzar Jaaenge Sab Wasl Kay Lamhe
Masroof Koi Wada-o-Paymaan Mein Rahega,
Main Harf-e-Januu Keh Na Sakoonga, Jo Kahoon Bhi
Ek Raaz Ki Soorart Dil Imkaan Mein Rahega,
“Mohsin” Main Hawadis Ki Hawaaon Mein Ghera Hoon
Kiya Naqsh-e-Qadam Dasht-o-Bayabaan Mein Rahega ?
37)

Aahat Si Howi Thi, Naa Koi Barg Hilaa Tha..

Mohsin Naqvi Poetry

Aahat Si Howi Thi, Naa Koi Barg Hilaa Tha
Main Khud Hi Sar-e-Manzil-e-Shab Cheekh Para Tha,
Lamhon Ki Faseelein Bhi Mere Gird Khari Thien
Main Phir Bhi Tujhe Shaher Mein Awaara Laga Tha,
Tune Jo Pukaara Hai Tou Bol Uthaa Hoon, Warna
Main Fikar Ki Dehleez Pe Chup Chaap Khara Tha,
Phaili Thi Bhare Shaher Mein Tanhai Ki Baaten
Shayad Koi Deewar Kay Peeche Bhi Khara Tha,
Ab Is Kay Siwaa Yaad Nahi Jashn-e-Mulaqaat
Ek Maatmi Jugnu Meri Palkon Pe Sajaa Tha,
Ya Barish-e-Sang Ab Kay Musalsal Na Howi Thi
Ya Phir Main Tere Shaher Ki Raah Bhool Gaya Tha,
Ek Jalwa-e-Mehboob Se Roshan Tha Mera Zehn
Wajdaan Yeh Kehta Hai Wohi Mera Khuda Tha,
Weraan Na Ho Is Darja Koi Mosam-e-Gul Bhi
Kehte Hain Kisi Shakh Pe Ek Phool Khila Tha,
Ek Tu Kay Gurezaan Hi Raha Mujh Se Beher Tor
Ek Main Kay Tere Naqsh-e-Qadam Choom Raha Tha,
Dekha Na Kisi Ne Bhi Meri Simt Palat Kar
“Mohsin” Main Bikharte Howe Sheeshon Ki Sadaa Tha
38)

Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha

Mohsin Naqvi Poetry

Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha
Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai
Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha
Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha
Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein
Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha
Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ?
Ajab Naseeb Tha “Mohsin” Ke Baad-e-Marg Mujhe
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha
39)

Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa

Mohsin Naqvi Poetry

Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa
Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa
Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa
Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa
Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak “Mohsin”
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa
40)

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena

Mohsin Naqvi Poetry

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena
Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena
Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena
Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena
Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena
Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena
Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna “Mohsin”
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena
50)

Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait

Mohsin Naqvi Poetry

Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait
Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh
Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait
Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz
Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait
Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman
Hum Bhee Jaayein Kubhi Dildaar Samait
Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab ?
Ik Qayaamat Tha Wo Raftaar Samait
Jin Ki Haibat Se Hiraasan Lashkar
Be-Nishaan Ab Hain Wo Talwaar Samait
Bujh Jaayein Kaheen Aankhain Meri
Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait
Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar
Qaaflay Guum Howay Saalaar Samait
Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair
Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait
Mein Ke “Mohsin” Hun Shaheed-e-Naamoos
Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait

51)

Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain

Mohsin Naqvi Poetry

Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain
Aisa Kartay Hain Ke Mar Jaatay Hain
Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay ?
Hum Ye Sochain Bhee Tou Dar Jaatay Hain
Dil Jo Tootay Tou Sar-e-Mehfil Bhi
Baal Be-Wajaa Bikhar Jaatay Hain
Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain
Charhtay Darya Tou Utar Jaatay Hain
Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay
Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain
Tum Kahaan Jao Ge Socho Mohsin ?
Log Thak Haar Ke Ghar Jaatay Hain
52)

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon

Mohsin Naqvi Poetry

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon
Kaash Main Bhe Kubhi So Ker Dekhoon
Shayed Ubhray Teri Tasveer Kaheen
Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon
Issi Khwahish Mein Mitta Jaata Hun
Tere Paon, Teri ThoKer Dekhoon
Ashk Hain , Vehm Ki Shabnam , K Lahoo??
Apni Palkain Tou Bhigo Ker Dekhoon
Kesa Lagta Hai Bichhar Ker Milna ?
Main Achanak Tujhe Kho Ker Dekhoon
Ab Kahaan Apne Girebaan Ki Bahaar ?
Taar Mein Zakhm Pirro Ker Dekhoon
Mere Hony Se Na Hona Behtar
Tu Jo Chahay , Tera Ho Ker dekhoon ?
Rooh ki Gardd Se Pehlay MOHSIN . .
Daagh-e-Daman Ko Tou Dho Ker Dekhoon..!!
53)

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian

Mohsin Naqvi Poetry

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian
Baatain Puraanian Wohi Raatain Suhaanian
Un Per Tou Farz Hain Mere Harfon Ke Zaaiqay
Ab Jin Ko Aagayein Badi Baatain Bananian
Ay Ishq Aa Phir Se Koi Tajurba Karain
Mein Bhoolnay Laga Hun Puraani Kahanian
Wo Tere Qehqahay Thay Ke Jaisay Hujoom Mein
Tootain Kalaion Mein Khanakti Kamaanian
Ye Mere Ashq Hain Ke Paharon Mein Jis Tarah
Royein Basant Rut Mein Nadi Ki Rawaanian
Maango Dua Ke Khelti Khilti Rahain Sadaa
Sheheron Ki Dulhanain Meri Basti Ki Raanian
Mohsin Ko Kuch Tou Had-e-Sitam Ka Suraagh De ?
Kab Tak Raqam Karuun Mein Teri Meherbaanian
54)

Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain

Mohsin Naqvi Poetry

Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain
Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay !
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain
Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain
Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…!
Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain
55)

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha

Mohsin Naqvi Poetry

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha
Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha
Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha
Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha
Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha
Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha
Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha


Payaar karna hai

Mohsin Naqvi Poetry

Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ?
Mujhay tu khair tera intazar karna hai
Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh
Kabhi yeah jashan sar e rah?guzaar karna hai
woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai
Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai
terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai
Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein
Kisi tarha tu humain rooz?gaar karna hai
Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
Khda janey ye koi zid, k shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

Chahny waly

Mohsin Naqvi Poetry

Usko fursat hi nahi
waqt nikaly Mohsin
Aisy hoty hain bhala
Chahny waly Mohsin
Yaad k dasht me phirta hon
Main nangy paon
Dekh to aa k kabi
Paon k chhaly Mohsin
Kho gai subho ki umeed
or ab lgta hai
Hum nahi hon gay
K jb hon gy ujaly Mohsin
Wo jo ik shakhs
Mtaa-e-dil-o-jan tha
Na raha
Ab bhala kon mery
Dard sambhaly Mohsin

Kaash Aa Jaye Vo

Mohsin Naqvi Poetry

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy
Wo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy
Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy.

La-hasil

Mohsin Naqvi Poetry

Zindagi thak k girti hai to khayal aata hai…
Jan-Lewa hai La-hasil ki tammna karna…

Ye sOch kar

Mohsin Naqvi Poetry

Ye sOch kar shayd w0h Khuli khirki say jhaankay ga,,,,
Gali main Kheltay Bachay Larra diye main ne….

Hasrat_e_Deedar

Mohsin Naqvi Poetry

Ae Hasrat_e_Deedar Ye Kya Raaz Hai Akhir,,,
Wo Samnay Aatay Hain To Dekha Nhi Jata

Yaad-e-Mazi

Mohsin Naqvi Poetry

Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,
Is Say Behtar Hai K? Har Baat Bhula Di Jaye..
Ne Apno K? Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya,
Dil K? Angan Mai B? Dewaar Utha Di Jaye..

Mai Ne Yaroon K? Bhicharne Say Ye Seekha ?MOHSIN?
Apne Dushman Ko B? Jeene Ke Dua Di Jaye

Hanstay hanstay

Mohsin Naqvi Poetry

ronay waloon k tou hamdard bohat hain Mohsin
hanstay hanstay kabhi duniya ko rula ker daikhein

Ajeeb Log

Mohsin Naqvi Poetry

“Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main Mohsin,
Shoq e Dosti Bhi Rakhtay Hain Aur Yad Bhi Nahi Krtay”

Muskurata Hai

Mohsin Naqvi Poetry

Wo Mohabbaton K Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin…
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai..!!!

Mohabat tark ki

Mohsin Naqvi Poetry

Mohabat tark ki may nay garaiban si liya may nay?.!
Zamanay ab to khush ho zehr ye bhi pi liya may nay..!
Abhi zinda hoon lekn sochta rehta hoon khilvat may?!
K ab tak kis tamana kay saharay jee liya may nay?.!

Tumhainy apna nahi skta mager itna bhi kiya kam hai..!
K kuch mudat haseen khaobon k saharay jee liya may nay..!
Bus ab to daman-e-dil chor do bekaar umeedo?.!
Bahot dukh saih liye may nay bahot din jee liya may nay?!
Aik dard bhari cheekh hoon, nakaam dua hoon?.!
Ujray huay maazi ki preshan sada hoon?..!
Geeton may samoya hai lahu apnay jigar ka?.!
Naghmon kay saharay ye lahoo thook raha hoo?!

TUM OR MAI’

Mohsin Naqvi Poetry

Barish,badal,
Tm or Main.
Khushbu, mosam,
Tm or Main
…Kaley badal, rim jhim barish,
Neela anchal
Tm or Main
Behti nadiyan, girta pani,
Aankhein, aansu
Tm or Main
Pass kisi dariya k koi
Bheega jhonpar
Tm or Main
Door kahin koyal ki ku ku,
Gehra jangal
Tm or Main
Barkha rim jhim geet sunaein,
Jhurmat dalein,
Tum or Main
Door kahin per chota sa ik,
Kach’cha sa ghar
Tum or Main
Kandha tera or sar mera,
Pagal si chup
TUM OR MAI’……..

Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai
Bistar-e-Khaak Lagy Takht-e-Sulemani Mujh Ko
Jaanta Hon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat MOHSIN
Aaina Kr Na Saky Ga Kabhi Heeran Mujh Ko………..!!

Chalo abb lot aao

Mohsin Naqvi Poetry

suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzar ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki mojoan ne
bari halchal mchai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hmaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairhon ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sun’nay ki
mere kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum!!!!

Hijr ki raat

Mohsin Naqvi Poetry

Dil ne tanha jhaili raat
Hijr ki raat, sahaili raat
Din waale kab boojh sake
Mushkil shaam pahaili raat

Ik safe ki tashreehein
Chand, chakor,chanbaili, raat
Din apne har dard ka dost
Is ki aik sahaili raat
Ik sunsaan nagar har saans
Ik weeraan hawaili raat
Is ka roop har kie dhoop
Meri sard hathaili raat
Is ki aankh se chalke shaam
Us ki zulf se khaili raat
Mohsin ke anjaam ke naam
Hijr ki naii nawaili raat……..!!

Dil-e-gareeb

Mohsin Naqvi Poetry

Mohsin dil-e-gareeb ki wairaniya’n to daikh
kaisa nagar tha jo tere hatho’n ujar gaya..

wo zakhm

Mohsin Naqvi Poetry

uss ko ghilaaf-e-rooh mein rakha, sambhal ker
MOHSIN wo zakhm bhi to kisi aashna ka tha…

Itni muddat baad

Mohsin Naqvi Poetry

Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum rehte ho?
Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho
Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?
Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?
Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!
Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?
Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?
Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho
Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?
kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho
Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho
Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?
Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho

Tujhey chaha

Mohsin Naqvi Poetry

main ne is tor se tujhey chaha aksar
jaisey mehtab ko be ant samandar chahey
jaisey sooraj ki kiran seap k dil main utrey
jaisey khoshbo ko hawa rang se hat kar chahay
jaisey pathar k kalejy se kiran photti hay
jaisey ghunchay khiley mousam se hina mangtey hain
jaisey khoabon main khayalon ki kaman totti hay
jaisey barish ki doa aabla pa mangtey hain
mera har khoab merey sach ki gawahi de ga
wosat_e_deed ne tujh se teri khahish ki hay
meri soochoon main kabhi dekh sarapa apna
main ne dunya se alag teri parasthis ki hay

Kaash Aa Jaye

Mohsin Naqvi Poetry

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy
Vo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy

Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy……!!

Bicharty Waqat Se

Mohsin Naqvi Poetry

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai
Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai
Bichar Bhi Jaye Magar Mujh Se Be-Khabar bhi Rahy
Ye Hosla Hi Kahan Mere Bad-Guman Ka Hai
Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai…….!!

Misal e rang wo jhonka

Mohsin Naqvi Poetry

tere badan se jo chhoo kr idhar bhi ata hai
misal e rang wo jhonka nazar bhi ata hai
tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya
hawa ki raah me ik aisa ghar bhi ata hai
wo mujhko toot k chahay ga , chhor jaye ga
…mujhe khabar thi usse ye hunar bhi ata hai
ujaar bann me utarta hai ik jugnoo bhi
hawaa k sath koi hamsafar bhi ata hai
wafa ki kon c manzil pe usne chora tha
k wo to yad humain bhul kar bhi ata hai
jahan lahu k samandar ki hadd theherti hai
waheen jazeera lal o guhar bbhi ata hai
chalay jo zikar farishto ki parsaayi ka
to zer e behes maqaam e bashar b ata haii
abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mere
k in safon me kaheen mera sarrr b ata hai
kabhi kabhi mujhe milnay bulandiyo se koi
shuwaa e subh ki soorat utar b ataa hai
esi liye me kisi shab na so saka mohsin
wo maahtaab kabhi baaam per b ataa hai

Mere Lafzon Main

Mohsin Naqvi Poetry

Mere Huroofon Mere Lafzon Main Hai Chehra Mera
Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai
Meer O Ghalib Na Sahi’ Phir Bhi Ghanimat Jano
Mere Yaaron K Sarhany Mera Diwaan Bhi Hai…..!!

Abhi Kamsin ho

Mohsin Naqvi Poetry

Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dill mera
Tumhare he liye rakha ha, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!
Reply
…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa ha, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!

Yaad Aye

Mohsin Naqvi Poetry

ub Bhi Hunsnay Kay Zamanay Aaye….!!!
Zakhum Phir Yaad Puranay Aaye….!!!
Baar’ha Unko Manaya To Humain….!!!
Roth Janay Kay Bahanay Aaye….!!!

Dil Bhuja Hai Na Kheamay Julay Hain….!!!
Aap Kiyon Jashan Mananay Aaye….!!

Tujhe bhula dun ga

Mohsin Naqvi Poetry

main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga,
marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga…
yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho,
main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga…

hawa ka hath bataon ga har tabahi main,
haray shajar se parinday main khud urra dun ga…
waffa karun ga kisi sogwaar chehre se,
purani qabar pe katbah naya saja dun ga…
issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar,
ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga…
barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri,
main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga…
bohat dino se mera dil udaas hai ‘Mohsin’
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga…

Rishton K Bandhan

Mohsin Naqvi Poetry

Kis Kis Se Rakhiye Dosti, Kis Kis Ko Dushman Janiye
Chehron Mian Ghir Kr Reh Gaen, Nadaniyan, Danaiyan
Rishton K Bandhan Tor Kr Hum Tum Youn Hi Milty Rahen
Roka Krain Ghar Waliyan, Pocha Krain Humsaiyan……..!!

Nayi bunyaad

Mohsin Naqvi Poetry

chalo mohsin mohabat ki nayi bunyaad rakhte hai,
khud paband rehtay hai usay azaad rakhtay hai,
hamare khoon main rab ne yahi taseer rakhi hai,
burai bhool jaty hai achai yaad rakhtay hai,
mohabat main kahien hum se gustakhi na ho jaye,
hum apna har qadam us k qadam k baad rakhte hai…

Post a Comment

Previous Post Next Post