Abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain – Ahmad Faraz |
Abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain – Ahmad Faraz
ابھی کچھ اور کرشمے غزل کے دیکھتے ہیں
فرازؔ اب ذرا لہجہ بدل کے دیکھتے ہیں
جدائیاں تو مقدر ہیں پھر بھی جان سفر
کچھ اور دور ذرا ساتھ چل کے دیکھتے ہیں
رہ وفا میں حریف خرام کوئی تو ہو
سو اپنے آپ سے آگے نکل کے دیکھتے ہیں
تو سامنے ہے تو پھر کیوں یقیں نہیں آتا
یہ بار بار جو آنکھوں کو مل کے دیکھتے ہیں
یہ کون لوگ ہیں موجود تیری محفل میں
جو لالچوں سے تجھے مجھ کو جل کے دیکھتے ہیں
یہ قرب کیا ہے کہ یک جاں ہوئے نہ دور رہے
ہزار ایک ہی قالب میں ڈھل کے دیکھتے ہیں
نہ تجھ کو مات ہوئی ہے نہ مجھ کو مات ہوئی
سو اب کے دونوں ہی چالیں بدل کے دیکھتے ہیں
یہ کون ہے سر ساحل کہ ڈوبنے والے
سمندروں کی تہوں سے اچھل کے دیکھتے ہیں
ابھی تلک تو نہ کندن ہوئے نہ راکھ ہوئے
ہم اپنی آگ میں ہر روز جل کے دیکھتے ہیں
بہت دنوں سے نہیں ہے کچھ اس کی خیر خبر
چلو فرازؔ کوئے یار چل کے دیکھتے ہیں
abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain
‘faraaz’ ab zara lahja badal ke dekhte hain
judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain
rah-e-wafa mein harif-e-KHiram koi to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte hain
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata
ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain
ye kaun log hain maujud teri mahfil mein
jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain
ye qurb kya hai ki yak-jaan hue na dur rahe
hazar ek hi qalib mein Dhal ke dekhte hain
na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui
so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain
ye kaun hai sar-e-sahil ki Dubne wale
samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain
abhi talak to na kundan hue na rakh hue
hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain
bahut dinon se nahin hai kuchh us ki KHair KHabar
chalo ‘faraaz’ ko ai yar chal ke dekhte hain
Poet: Ahmad Faraz