(Bal-e-Jibril-139) Aik Naujawan Ke Naam

 

(Bal-e-Jibril-139) Aik Naujawan Ke Naam

(Bal-e-Jibril-139) Aik Naujawan Ke Naam

Allama Iqbal ye aik khub surat Nazam " Aik Njawan Ke Naam" jis mein  Allama Iqbal nojawano ko khabeghaflat se jagane ki koshish karte hain k nojawan apne apko pechane apne Allah ki traf Hazir hu aur jis moaqsad ke lie Rub ne unko peda kiya wo apne maqsad janne aur apni mazil ko talash kren aur apne manzil ko hasil karene ki justajaju kren.





(Bal-e-Jibril-139) Aik Naujawan Ke Naam

Tere Sofe Hain Afarangi, Tere Qaleen Hain Irani 
Lahoo Mujh Ko Rulati Hai Jawanon Ki Tan Asani

Your sofas are from Europe, your carpets from Iran;
This slothful opulence evokes my sigh of pity.


(Bal-e-Jibril-139) Aik Naujawan Ke Naam





Amarat Kya, Shikoh-e-Khusrawi Bhi Ho To Kya Hasil
Na Zor-e-Haidari Tujh Mein, Na Istaghna-e-Salmani

In vain if you possess Khusroe’s imperial pomp,
If you do not possess prowess or contentment.








Na Dhoond Iss Cheez Ko Tezeeb-e-Hazir Ki Tajali Mein
Ke Paya Man Ne Istaghna Mein Meeraj-e-Musalmani

Seek not thy joy or greatness in the glitter of Western life,
For in contentment lies a Muslim’s joy and greatness.

(Bal-e-Jibril-139) Aik Naujawan Ke Naam



Auqabi Rooh Jab Baidar Hoti Hai Jawanon Mein
Nazar Ati Hai Iss Ko Apni Manzil Asmanon Mein

When an eagle’s spirit awakens in youthful hearts,
It sees its luminous goal beyond the starry heavens.






Na Ho Naumeed, Naumeedi Zawal-e-Ilm-o-Irfan Hai
Umeed-e-Mard-e-Momin Hai Khuda Ke Raazdanon Mein

Despair not, for despair is the decline of knowledge and gnosis:
The Hope of a Believer is among the confidants of God.



Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Thy abode is not on the dome of a royal palace;
You are an eagle and should live on the rocks of mountains.




______________

ایک نوجوان کے نام

ترے صوفے ہیں افرنگی، ترے قالیں ہیں ایرانی
لہو مجھ کو رلاتی ہے جوانوں کی تن آسانی
امارت کیا، شکوہ خسروی بھی ہو تو کیا حاصل
نہ زور حیدری تجھ میں، نہ استغنائے سلمانی
نہ ڈھونڈ اس چیز کو تہذیب حاضر کی تجلی میں
کہ پایا میں نے استغنا میں معراج مسلمانی
عقابی روح جب بیدار ہوتی ہے جوانوں میں
نظر آتی ہے اس کو اپنی منزل آسمانوں میں
نہ ہو نومید، نومیدی زوال علم و عرفاں ہے
امید مرد مومن ہے خدا کے راز دانوں میں
نہیں تیرا نشیمن قصر سلطانی کے گنبد پر
تو شاہیں ہے، بسیرا کر پہاڑوں کی چٹانوں میں



Post a Comment

Previous Post Next Post