kamyab zindagi ka raaz | kamyabi kaise hasil kare Urdu (اُردُو) / HINDI (हिन्दी)
(Secrets of Success)
Kamyani (Success) har aik insan ki khawahish hoti hai ke wo zindagi ke har maidan men kamyab ho. aur ye har insan ki khawahish hoti hai ke wo aik acha kamyab business man bne, doctor bane, engineer bane, scientist bane, politician bne aur is khawab ko pora kerne ke liye wo din rat mehnat karta hai kuch log lucky hote hain unko kamyabi asani ke stha mil jati hai aur kuch log unthak mehnat ke bad kamyabi hasil kerte hai aur apni manzil maqsod tak pochte hain.Lakin sawal ye paida hota hai ke akhir kamyabi hai kiya chiiz?
Kamyabi Ka Raz :
Kamyabi ko paane ke liye insan ko kuch batein apne zehn men rkhni chaye jb wo kamyabi ki talash men niklata hai to usko ye bat bhi pta honi chahye ke kamyabi usko kahan mile gi kab aue kaise mile
gi to kamyabi ke bhi kuch asol hain kuch qanoon hain.
Kmayabi kin logo ko milti hain aur kamyabi kis logo ki traf khud bhagti hai aur jo log hamisha kamyabi ki traf bhagte hain to un ko kamyabi ke kuch qanooon ka bhi khyala rkhna chahye ke kamyabi sirf unhi logo ko milti hai jo us ke asool jo jante hain aue wo asool ye hain.
Kamyabi ke asol:
Agar Ap himat har jate hain to apko sach men har jate hain.
Agar Ap ye soch lete hain ke Ap nehi kar skte to yakeen kren ap kabhi nhi kar skte.
Agar Ap ye soch len ke ap ka andara b jan nehi rehi ye kam karne ki to yakeen maane ap thak kar har chukay han.
Agar ap ye than len ke ye kam ap ker sakte hai to duniya ki koi takat apko nehi rok skti.
Agar Ap ye soch len ke ap naa qabl e shikast hain to yaqeeni tor par koi bhi apko nehi hara sakta.
Agar Apne soch liya ke yam kam apne kar ke hi rehna hai to yakeenan wo kam ap ker ke hi choren gay.
Lehaza aik bat smajh men aati hai ke kamyabi ka daro madar insan ki niyat aur jazabe par munhasar hai jab ap kisi kam ko karne ki than lete hain aur apne mazboot iraday aur jazbe ki waja se bhaer por mehnat kerte hain to kamyanbi khud ap ke qadmo men hathiyar dal deti hai.
Jab bhi ap koi kam kren to usko dil se kren shoq se kiya hua kam hi insan ko kamyab banata hai Kiyun shoq se kiye jaane wala kam apko thakata nehi hai aur naa hi apko bor kerta hain bulky ap ke andar aur lagan peda karta us kam ko karne ke liye aur jab ap men lagan peda hoti hai wo dil laga kar pori dilchasbi ke sath kam karte hain to kamyabi apko zroro milti hai.
Kamyabi ko hasil karne ke lye apko hardwok, perseverance, interest ke sath kam krna parta hai warna kamyabi ke bare men apko sochna hi nahi chahye agar ap ye chizin nahi kar sakte to.
کامیابی کو کچھ اس طرح بھی سمجھا جا سکتا ہے
Sath milna aik aa ghaaz hai..sath rahna paish raft hai aur sath mil kar kam karna aik kamyabi hai.
کامیاب لگ اپنے فیصلوں سے دنیا ندل دیتے ہیں اور کمزور لوگ دنیا کے ڈر سے اپنے فیصلے۔
Kamyab log apny faislon se duniya badal dety hain aur kamzor log duniya ke dar se apne faisle.
Kamyabi hasil karne ke liye aap ko akailey hi agay barhna parta hai. Log aap ke sath tab atay hain jab aap kamyab ho jatay hain.
Kamyab log kabhi bhi pechy mur kar nahi dekhty ke zindagi mein pahly kiya kiya bilke wo log ye dekhty hain ke zindagi mein karna kiya hai bs. yahi hai un ki kamyabi ka raaz۔
اگر تم سے ایک تارہ گم ہو گیا تو کیا پوا؟ آسمان پورا تاروں سع بھر ا ہوا ہے۔ اگر بھرے آسمان میں سے کبھی کو یٔی تارہ تیری قسمت میں نہیں تو کون جانتا ہے شاید چاند تیرا نصیب ہو۔
Agar tum se aik tara gum ho gaya hai to kya hua? Aasman poora taron se bhara hua hai. Agar bharay aasman mein se bhi koi taraa teri qismat mein nahi to kon jaanta hai hai shayad chaand teraa naseeb ho…!!!
Hum zindagi mein zaroor kamyaab hon ge agar hum unn nasehtoon par amal karlen jo hum dosaron ko dete hain.
Iss kaeenat ka aik sab se bara sach hai aur woh yeh hai ke insaan jo koi bhi ho aur kuch bhi kere lekin jab woh kuch karne ka iradah karta hai to woh ho kar rehta hai.
Har kamyaab shakhs ke paas aik takleef da kahani hoti hai aur har takleef da kahani ka anjaam kamyabi hoti hai, isi liye takleef ko bardasht karne ki aadat daalo aur kamyabi ke liye tayyar ho jao.
Kamyab log apny chehry per do chezen rakhty hain Aik Muskurahat aur dosri Khamoshi
Final Words:
Jab bhi koi bara kaam karo jab bhi kamyabi mile usi waqat foran khuda ka shukar ada karo kamyab log yahi kerty hain pher chahy kamyabi bari hu ya choti Umar ki avnchayyon pay charhata hwa insaan yeh baat bhool jata hai ke woh dar haqeeqat zeena dar zeena do gazz (دوگز) zameen mein utar raha hai.
Duniya aik samandar hai, aur is ka saahil akhirat hai, aur is mein paar lagnay ke liye kashti taqwa hai, aur insaan is kashti ka musafir.
Insaan itna buzdil hai ke khowaboon mein dar jata hai aur be-khauf itna hai ke jaghay mein bhi apne ALLAH se nahi darta. Insaan ki lalach ka payalaa kabhi nahi bharta kyunkay is mein na-shukri ke sorakh hotay hain jo is ko kabhi bharnay nahi dete.
Aik dil toar kar tunay masjid banai. Kisi k armaan toar kar tu ne namaz parhi. Kisi ko rulla کرتو ALLAH raazi karne chala. Kisi ko saata kar to HAJJ kar aaya. Tu ne neki kar ke gunah gar ko haqeer jana. Ae karne walay behtar tha ke tu gunah kar ke insaan reh jata, neki kar ke Khuda nah bantaa.