Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata – Ahmad Faraz Urdu Poetry

قربت بھی نہیں دل سے اتر بھی نہیں جاتا
وہ شخص کوئی فیصلہ کر بھی نہیں جاتا
 
آنکھیں ہیں کہ خالی نہیں رہتی ہیں لہو سے
اور زخم جدائی ہے کہ بھر بھی نہیں جاتا
 
وہ راحت جاں ہے مگر اس در بدری میں
ایسا ہے کہ اب دھیان ادھر بھی نہیں جاتا
 
ہم دوہری اذیت کے گرفتار مسافر
پاؤں بھی ہیں شل شوق سفر بھی نہیں جاتا
 
دل کو تری چاہت پہ بھروسہ بھی بہت ہے
اور تجھ سے بچھڑ جانے کا ڈر بھی نہیں جاتا
 
اتنی سی خوشی سے کوئی مر بھی نہیں جاتا
پاگل ہوئے جاتے ہو فرازؔ اس سے ملے کیا
ااتنی سی خوشی سے کوئی مر بھی نہیں جاتا

qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahin jata
 
aankhen hain ki khali nahin rahti hain lahu se
aur zaKHm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jata
 
wo rahat-e-jaan hai magar is dar-badri mein
aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jata
 
hum dohri aziyyat ke giraftar musafir
panw bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jata
 
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhadjaane ka Dar bhi nahin jata
 
pagal hue jate ho ‘faraaz’ us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahin jata

Poet: Ahmed Faraz

Post a Comment

Previous Post Next Post