haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai - Jaun Elia Poetry






Haalat-E-Haal Ke Sabab,Haalat-E-Haal Hi Gayi
Shauq Mein Kuch Nahin Gaya, Shauq Ki Zindagi Gayi

حالت حال کے سبب حالت حال ہی گئی

شوق میں کچھ نہیں گیا شوق کی زندگی گئی


Tera Firaaq Jaan-E-Jaan, Aish Tha Kya Mere Liye
Ya’ni Tere Firaaq Mein,Khoob Sharaab Pee Gayi

تیرا فراق جان جاں عیش تھا کیا مرے لیے

یعنی ترے فراق میں خوب شراب پی گئی



uski umeed -e naz humse ye maan tha ke ap, 
umar guzar dijye umar guzar di gyi 

اس کی امید ناز کا ہم سے یہ مان تھا کہ آپ

عمر گزار دیجیے عمر گزار دی گئی



Us Ke Badan Ko Dee Numoo, Hum Ne Sukhan Mein Aur Phir
Us Ke Badan Ke Waaste, Ek Qaba Bhi See Gayi

اس کے بدن کو دی نمود ہم نے سخن میں اور پھر

اس کے بدن کے واسطے ایک قبا بھی سی گئی




Kehni Hai Mujh Ko Ek Baat, Aap Se, Ya’ni Aap Se
Aap Ke Shehr-E-Wasl Mein, Lazzat-E-Hijr Bhi Gayi

کہنی ہے مجھ کو ایک بات آپ سے یعنی آپ سے

آپ کے شہر وصل میں لذت ہجر بھی گئی




Sehn-E-Khayaal-E-Yaar Mein, Ki Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chaand Na Gaya, Jab Sey Woh Chaandni Gayi

صحن خیال یار میں کی نہ بسر شب فراق

جب سے وہ چاندنا گیا جب سے وہ چاندنی گئی




Ba’d Bhi Tere Jaan-E-Jaan, Dil Mein Raha Ajab Samaan
Yaad Rahi Teri Yahaan, Phir Teri Yaad Bhi Gayi

بعد بھی تیرے جان جاں دل میں رہا عجب سماں

یاد رہی تری یہاں پھر تری یاد بھی گئی




Post a Comment

Previous Post Next Post