Best Quotes in Urdu

Best Quotes in Urdu


This phase is mainly for superb prices in Urdu, more welcome to the literature lovers. which provide you the most heart-touching and very deep-meaning quotes in Urdu. in our life lots of moment were never forget else it was happy or sad moments There are some moments in our existence even as we experience so down so miserable and seems like not whatever can cheer us up however proper here you discover the exquisite collection of success prices, mindset fees, Islamic charges, Friendship quotes, heartbreaking prices, Motivational fees, and lots extra all inside the Urdu language with every phase has its very own robust factor and splendor. we're continuously going for walks difficult to make the best expenses in Urdu a bargain better and thrilling for you. We want your everyday useful resource to get going so enjoy unfastened to percentage those amazing expenses in Urdu with your beloved.


Best Quotes in Urdu List

"Insaan bhi kya cheez hai doulat kamanay ke liye apni sahet kho deta hai phir wapas sahet panay ke liye apni doulat kho deta hai"

"Mustaqbil ka soch kar apna haal zaya kar deta hai aur phir mustaqbil mein apna maazi yaad kar ke rota hai"

"Jeeta aisay hai jaisay kabhi marna hi nahi hai aur mrta aisay hi jaisay kabhi jiya hi nahi. Deep Quotes in Urdu."

"Insaaniyat aik bohat bura khazana hai usay libaas mein nahi balkay insaan mein talaash karo."

"Ajeeb Duniya hai..
Shadi shuda Talaq ke chakkar mein hain. Ghair shadi shuda shadi ke khayalon mein. Bachon ko bara honay ki jaldi hai. Barron ko bachpan dobarah lotney ki arzoo. Nokari karne walay apne kaam ki sakhtiyon se nalan hain. Bekaron ke laboon par kaam milnay ki duayen hain. Ghareebon ko ameeron ki zindagi ki hasrat hai."

"Ameeron ko aik lamha aaram ki tamanna. Mashhoor afraad chupnay ke liye thikana ki talaash mein hain. Aam log mashhoor ban’nay ke khayaal mein."
"Kisi ko maloom nahi ke khushhali ka wahid rasta yeh hai ke jo naematain tumhe mili hain iss ki qader jano aur un se lutaf Uthao."

"Insaan itna buzdil hai ke khowaboon mein dar jata hai aur be-khauf itna hai ke jaghay mein bhi apne ALLAH se nahi darta."

"Insaan to har jagah peda hotay hain magar insaaniyat kahin kahin janam layte hai. Duniya ka har shakhs dard ka tajurbah rakhta hai lekin insaan phir bhi dosaron ke dard ko nahi samjhta. Log tawakkal insanon par karte hain aur na umeed honay par shikwah ALLAH se. Insaan hona hamara intikhab nahi balkay qudrat ki ataa hai lekin. Apne andar insaaniyat banaye rakhna hamara apna intikhab hai. Har insaan apni zubaan ke peechay chhupa hoa hai agar ussay samjhna hai to usay bolnay do. Insaan barhatay ja rahay hain aur insaaniyat khatam hoti jarahi hai."



"Khush rehne ka sab se achchca usool yeh bhi hai ke jahan lagey ke aap ki jagah nahi wahan khamoshi se khud ko allag kar lau."

"Baaz dafaa khamoshi wujood par nahi dil mein utarti hai phir is se mukammal, khobsorat aur bamani guftagu koi aur cheez nahi kar sakti aur yeh guftagu ensaan ki saari zindagi ka haasil hoti hai aur is guftagu ke baad aik dosray se kabhi dobarah kuch kehna nahi parta. Apne khilaaf baatein khamoshi se santa hon aur jawab dainay ka haq waqt ko day rakha hai."

"khamoshi azeem Nemat hai, bilkhushoos uss maqam par jahan ikhtilaaf ziyada, aawazian buland, ilm ki kami aur Daleel ki koi auqaat nah ho."

Mazboot log khamosh rehtay hain kisi se shikayat nahi karte. Taron ko Insaan tab ghurataa hai jab zameen pay uss ka kuch kho gaya ho. Jab andar taq gehri khamoshi chhai ho to ba kkhuda khamoshi ke sِwa har aawaz takleef deti hai.

Hope you'd like our Quote collections in urdu.

Post a Comment

Previous Post Next Post