Khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai – Allama Iqbal

Khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai – Allama Iqbal


Khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai – Allama Iqbal





خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہے

خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہے

کہ میں اس فکر میں رہتا ہوں میری انتہا کیا ہے
 
خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے
خدا بندے سے خود پوچھے بتا تیری رضا کیا ہے
 
مقام گفتگو کیا ہے اگر میں کیمیا گر ہوں
یہی سوز نفس ہے اور میری کیمیا کیا ہے
 
نظر آئیں مجھے تقدیر کی گہرائیاں اس میں
نہ پوچھ اے ہم نشیں مجھ سے وہ چشم سرمہ سا کیا ہے
 
اگر ہوتا وہ مجذوب فرنگی اس زمانے میں
تو اقبالؔ اس کو سمجھاتا مقام کبریا کیا ہے
 
نوائے صبح گاہی نے جگر خوں کر دیا میرا
خدایا جس خطا کی یہ سزا ہے وہ خطا کیا ہے

Khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai
ki main is fikr mein rahta hun meri intiha kya hai
 
Khudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle
Khuda bande se Khud puchhe bata teri raza kya hai
 
maqam-e-guftugu kya hai agar main kimiya-gar hun
yahi soz-e-nafas hai aur meri kimiya kya hai
 
nazar aain mujhe taqdir ki gahraiyan is mein
na puchh ai ham-nashin mujh se wo chashm-e-surma-sa kya hai
 
agar hota wo majzub-e-farangi is zamane mein
to ‘iqbaal’ us ko samjhata maqam-e-kibriya kya hai
 
nawa-e-subh-gahi ne jigar Khun kar diya mera
Khudaya jis Khata ki ye saza hai wo Khata kya hai

Allama Muhammad Iqbal


Khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai – Allama Iqbal
Khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai – Allama Iqbal

Post a Comment

Previous Post Next Post