ALLAMA IQBAL POETRY majnun ne shahr chhora to sahra bhi chhor de – Allama Iqbal

majnun ne shahr chhora to sahra bhi chhor de – Allama Iqbal
ALLAMA IQBAL POETRY


majnun ne shahr chhora to sahra bhi chhor de – Allama Iqbal





مجنوں نے شہر چھوڑا تو صحرا بھی چھوڑ دے

مجنوں نے شہر چھوڑا تو صحرا بھی چھوڑ دے

نظارے کی ہوس ہو تو لیلیٰ بھی چھوڑ دے
 
واعظ کمال ترک سے ملتی ہے یاں مراد
دنیا جو چھوڑ دی ہے تو عقبیٰ بھی چھوڑ دے
 
تقلید کی روش سے تو بہتر ہے خودکشی
رستہ بھی ڈھونڈ خضر کا سودا بھی چھوڑ دے
 
مانند خامہ تیری زباں پر ہے حرف غیر
بیگانہ شے پہ نازش بے جا بھی چھوڑ دے
 
لطف کلام کیا جو نہ ہو دل میں درد عشق
بسمل نہیں ہے تو تو تڑپنا بھی چھوڑ دے
 
شبنم کی طرح پھولوں پہ رو اور چمن سے چل
اس باغ میں قیام کا سودا بھی چھوڑ دے
 
ہے عاشقی میں رسم الگ سب سے بیٹھنا
بت خانہ بھی حرم بھی کلیسا بھی چھوڑ دے
 
سوداگری نہیں یہ عبادت خدا کی ہے
اے بے خبر جزا کی تمنا بھی چھوڑ دے
 
اچھا ہے دل کے ساتھ رہے پاسبان عقل
لیکن کبھی کبھی اسے تنہا بھی چھوڑ دے
 
جینا وہ کیا جو ہو نفس غیر پر مدار
شہرت کی زندگی کا بھروسا بھی چھوڑ دے
 
شوخی سی ہے سوال مکرر میں اے کلیم
شرط رضا یہ ہے کہ تقاضا بھی چھوڑ دے
 
واعظ ثبوت لائے جو مے کے جواز میں
اقبالؔ کو یہ ضد ہے کہ پینا بھی چھوڑ دے

majnun ne shahr chhora to sahra bhi chhor de
nazzare ki hawas ho to laila bhi chhor de
 
waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad
duniya jo chhor di hai to uqba bhi chhor de
 
taqlid ki rawish se to behtar hai KHud-kushi
rasta bhi Dhund Khizr ka sauda bhi chhor de
 
manind-e-khama teri zaban par hai harf-e-ghair
begana shai pe nazish-e-beja bhi chhor de
 
lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq
bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhor de
 
shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal
is bagh mein qayam ka sauda bhi chhor de
 
hai aashiqi mein rasm alag sab se baiThna
but-khana bhi haram bhi kalisa bhi chhor de
 
sauda-gari nahin ye ibaadat KHuda ki hai
ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhor de
 
achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql
lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhor de
 
jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar
shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhor de
 
shokhi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim
shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhor de
 
waiz subut lae jo mai ke jawaz mein
‘iqbaal’ ko ye zid hai ki pina bhi chhor de

Allama Muhammad IQbal

Post a Comment

Previous Post Next Post