Gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar – Allama Iqbal Ghazal |
Gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar – Allama Iqbal Ghazal
گیسوئے تابدار کو اور بھی تابدار کر
گیسوئے تابدار کو اور بھی تابدار کر
ہوش و خرد شکار کر قلب و نظر شکار کر
عشق بھی ہو حجاب میں حسن بھی ہو حجاب میں
یا تو خود آشکار ہو یا مجھے آشکار کر
تو ہے محیط بیکراں میں ہوں ذرا سی آب جو
یا مجھے ہمکنار کر یا مجھے بے کنار کر
میں ہوں صدف تو تیرے ہاتھ میرے گہر کی آبرو
میں ہوں خذف تو تو مجھے گوہر شاہوار کر
نغمۂ نوبہار اگر میرے نصیب میں نہ ہو
اس دم نیم سوز کو طائرک بہار کر
باغ بہشت سے مجھے حکم سفر دیا تھا کیوں
کار جہاں دراز ہے اب مرا انتظار کر
روز حساب جب مرا پیش ہو دفتر عمل
آپ بھی شرمسار ہو مجھ کو بھی شرمسار کر
Gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar
Hosh o khirad shikar kar qalb o nazar shikar kar
ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein
ya to khud aashkar ho ya mujhe aashkar kar
tu hai muhit-e-be-karan main hun zara si aabju
ya mujhe ham-kanar kar ya mujhe be-kanar kar
main hun sadaf to tere hath mere guhar ki aabru
main hun khazaf to tu mujhe gauhar-e-shahwar kar
naghma e nau-bahaar agar mere nasib mein na ho
us dam-e-nim-soz ko tairak-e-bahaar kar
bagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun
kar-e-jahan daraaz hai ab mera intizar kar
roz-e-hisab jab mera pesh ho daftar-e-amal
aap bhi sharmsar ho mujh ko bhi sharmsar kar
Allama Muhammad Iqbal